KHair-KHwahi se meri jaan chhuDa de koi
ḳhair-ḳhvāhī se mirī jaan chhuḌā de koī
is tabāhī se mirī jaan chhuḌā de koī
log jazbāt ko bhī she'r samajh lete haiñ
vāh-vāhī se mirī jaan chhuḌā de koī
bad-nigāhī se hai malbūs muhāfiz merā
is sipāhī se merī jaan chhuḌā de koī
merī tahrīr kī tanqīd gavārā kar le
yā siyāhī se mirī jaan chhuḌā de koī
husn-e-yūsuf kī giraftār zuleḳhā bolī
bādshāhī se mirī jaan chhuḌā de koī
jald se jald mire haq meñ sazā likh Daale
be-gunāhī se mirī jaan chhuḌā de koī
mujh ko yak-tarfa ta'alluq na Dubo de 'shāzī'
mere maahī se mirī jaan chhuḌā de koī
KHair-KHwahi se meri jaan chhuDa de koi
is tabahi se meri jaan chhuDa de koi
log jazbaat ko bhi she'r samajh lete hain
wah-wahi se meri jaan chhuDa de koi
bad-nigahi se hai malbus muhafiz mera
is sipahi se meri jaan chhuDa de koi
meri tahrir ki tanqid gawara kar le
ya siyahi se meri jaan chhuDa de koi
husn-e-yusuf ki giraftar zuleKHa boli
baadshahi se meri jaan chhuDa de koi
jald se jald mere haq mein saza likh Dale
be-gunahi se meri jaan chhuDa de koi
mujh ko yak-tarfa ta'alluq na Dubo de 'shazi'
mere mahi se meri jaan chhuDa de koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.