KHair mangi jo aashiyane ki
ḳhair māñgī jo āshiyāne kī
āñdhiyāñ hañs paḌīñ zamāne kī
mere ġham ko samajh sakā na koī
mujh ko aadat hai muskurāne kī
dil sā ghar Dhā diyā to kis muñh se
baat karte ho ghar basāne kī
husn kī baat ishq ke qisse
baat karte ho kis zamāne kī
dil hī qaabū meñ ab nahīñ merā
ye qayāmat tirī adā ne kī
kuchh to tūfāñ kī zad meñ ham aa.e
kuchh navāzish bhī nā-ḳhudā ne kī
mujh ko tum yaad aur bhī aa.e
koshisheñ jitnī kī bhulāne kī
vo hī 'naushād' fan kā shaidā.ī
baat karte ho kis divāne kī
KHair mangi jo aashiyane ki
aandhiyan hans paDin zamane ki
mere gham ko samajh saka na koi
mujh ko aadat hai muskurane ki
dil sa ghar Dha diya to kis munh se
baat karte ho ghar basane ki
husn ki baat ishq ke qisse
baat karte ho kis zamane ki
dil hi qabu mein ab nahin mera
ye qayamat teri ada ne ki
kuchh to tufan ki zad mein hum aae
kuchh nawazish bhi na-KHuda ne ki
mujh ko tum yaad aur bhi aae
koshishen jitni ki bhulane ki
wo hi 'naushad' fan ka shaidai
baat karte ho kis diwane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.