KHair mein ho na sake shar mein to shamil ho jao
ḳhair meñ ho na sake shar meñ to shāmil ho jaao
kuchh na kuchh merī mohabbat ke to qābil ho jaao
maiñ to bas terī ḳhushī terī razā chāhtā huuñ
fikr merī na karo aur ko hāsil ho jaao
vaise mañjdhār meñ ab mujh ko sukūñ milne lagā
phir bhī chāho to mire vāste sāhil ho jaao
kuchh na kuchh dekhnā tadbīr nikal aa.egī
apne pahlū meñ biThāne ke to qaa.il ho jaao
lutf baḌh jā.egā andāz badal kar dekho
ab jo maqtal meñ raho maut se ġhāfil ho jaao
dostī ho ki 'adāvat ho koī harj nahīñ
shart ye hai ki zarā pahle muqābil ho jaao
maiñ ne kab rok ke rakkhā tumheñ jān-e-'bismil'
zehn-o-dil kyā hai mirī ruuh meñ dāḳhil ho jaao
KHair mein ho na sake shar mein to shamil ho jao
kuchh na kuchh meri mohabbat ke to qabil ho jao
main to bas teri KHushi teri raza chahta hun
fikr meri na karo aur ko hasil ho jao
waise manjdhaar mein ab mujh ko sukun milne laga
phir bhi chaho to mere waste sahil ho jao
kuchh na kuchh dekhna tadbir nikal aaegi
apne pahlu mein biThane ke to qail ho jao
lutf baDh jaega andaz badal kar dekho
ab jo maqtal mein raho maut se ghafil ho jao
dosti ho ki 'adawat ho koi harj nahin
shart ye hai ki zara pahle muqabil ho jao
main ne kab rok ke rakkha tumhein jaan-e-'bismil'
zehn-o-dil kya hai meri ruh mein daKHil ho jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.