KHair us se na sahi KHud se wafa kar Dalo
ḳhair us se na sahī ḳhud se vafā kar Daalo
vaqt ab kam hai bahut yād-e-ḳhudā kar Daalo
ek sūrat hai yahī paañv jame rahne kī
haath uThāo dil-e-sābit kī duā kar Daalo
harf-e-inkār bhī us dar se baḌī ne.amat hai
ye faqīroñ ke haiñ asrār sadā kar Daalo
aur duniyā meñ bahut kuchh hai gulistāñ kī tarah
sair tum bhī kabhī ham-rāh-e-sabā kar Daalo
habs hotā hai ajab dil meñ tire ġham ke baġhair
jī ulajhtā hai kuchh is tarah ki kyā kar Daalo
umr bhar aa.egī hāthoñ se gulāboñ kī mahak
ḳhār-zāroñ kā safar barhana-pā kar Daalo
ye malāmat na suno dil kī shab-o-roz 'suhail'
jaan hī kā to ziyāñ hogā vafā kar Daalo
KHair us se na sahi KHud se wafa kar Dalo
waqt ab kam hai bahut yaad-e-KHuda kar Dalo
ek surat hai yahi panw jame rahne ki
hath uThao dil-e-sabit ki dua kar Dalo
harf-e-inkar bhi us dar se baDi neamat hai
ye faqiron ke hain asrar sada kar Dalo
aur duniya mein bahut kuchh hai gulistan ki tarah
sair tum bhi kabhi ham-rah-e-saba kar Dalo
habs hota hai ajab dil mein tere gham ke baghair
ji ulajhta hai kuchh is tarah ki kya kar Dalo
umr bhar aaegi hathon se gulabon ki mahak
KHar-zaron ka safar barhana-pa kar Dalo
ye malamat na suno dil ki shab-o-roz 'suhail'
jaan hi ka to ziyan hoga wafa kar Dalo
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 264)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.