KHala mein dauD lagaun kisi ke bap ka kya
KHala mein dauD lagaun kisi ke bap ka kya
Wahid Ansari Burhanpur
MORE BYWahid Ansari Burhanpur
ḳhalā meñ dauḌ lagā.ūñ kisī ke baap kā kyā
kahīñ bhī aa.uuñ yā jā.ūñ kisī ke baap kā kyā
banā.ūñ paañv kī juutī maiñ apnī biivī ko
ki apne sar pe biThā.ūñ kisī ke baap kā kyā
paḌheñ dhaḌalle se shāgird bhī merī ġhazleñ
maiñ khoTā sikka chalā.ūñ kisī ke baap kā kyā
ye aur baat ki daulat hai mere paas magar
maiñ bhiik maañg ke khā.ūñ kisī ke baap kā kyā
gale ke saaz pe ġhazleñ thirak rahī hoñ jab
maiñ filmī giit sunā.ūñ kisī ke baap kā kyā
hai bint-e-havvā mire hī badan kā ik hissa
agar maiñ us ko paTā.ūñ kisī ke baap kā kyā
maiñ akhkhā india phirtā huuñ aaj bhī 'vāhid'
maiñ sher likhkhūñ likhā.ūñ kisī ke baap kā kyā
KHala mein dauD lagaun kisi ke bap ka kya
kahin bhi aaun ya jaun kisi ke bap ka kya
banaun panw ki juti main apni biwi ko
ki apne sar pe biThaun kisi ke bap ka kya
paDhen dhaDalle se shagird bhi meri ghazlen
main khoTa sikka chalaun kisi ke bap ka kya
ye aur baat ki daulat hai mere pas magar
main bhik mang ke khaun kisi ke bap ka kya
gale ke saz pe ghazlen thirak rahi hon jab
main filmi git sunaun kisi ke bap ka kya
hai bint-e-hawwa mere hi badan ka ek hissa
agar main us ko paTaun kisi ke bap ka kya
main akhkha india phirta hun aaj bhi 'wahid'
main sher likhkhun likhaun kisi ke bap ka kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.