KHala mein pesh-rafti ki taraf pahla ishaara hai
ḳhalā meñ pesh-raftī kī taraf pahlā ishāra hai
kiran kā daaġh ham ne apne dāman par utārā hai
ruḳh-e-‘ālam ko pesh-o-pas na kar deñ ye junūñ-pesha
ḳhudā ne aadmī ko vaqfe vaqfe se pukārā hai
jahān-e-hairat-o-daryāft ham hī se to raushan hai
ye sayyāroñ pe naqsh-e-ābla-pā.ī hamārā hai
ye raftār-e-numū-yābī kā dhīmā-pan ġhanīmat hai
taraqqī kā na honā bhī taraqqī kā ishāra hai
jo uslūb-e-suḳhan ke naam par be-kār jaate haiñ
unhī ke naam par shahr-e-suḳhan meñ ik idāra hai
vujūd-e-sifr se taqvīm-e-do-'ālam nahīñ bantī
hudūd-e-raushnī ke paar bhī raushan sitārā hai
latāfat kā ye pahlū shā'irī kā husn hai 'tauhīd'
garebān-e-jahān-e-ḳhushk-o-tar bhī isti'āra hai
KHala mein pesh-rafti ki taraf pahla ishaara hai
kiran ka dagh hum ne apne daman par utara hai
ruKH-e-‘alam ko pesh-o-pas na kar den ye junun-pesha
KHuda ne aadmi ko waqfe waqfe se pukara hai
jahan-e-hairat-o-daryaft hum hi se to raushan hai
ye sayyaron pe naqsh-e-abla-pai hamara hai
ye raftar-e-numu-yabi ka dhima-pan ghanimat hai
taraqqi ka na hona bhi taraqqi ka ishaara hai
jo uslub-e-suKHan ke nam par be-kar jate hain
unhi ke nam par shahr-e-suKHan mein ek idara hai
wujud-e-sifr se taqwim-e-do-'alam nahin banti
hudud-e-raushni ke par bhi raushan sitara hai
latafat ka ye pahlu sha'iri ka husn hai 'tauhid'
gareban-e-jahan-e-KHushk-o-tar bhi isti'ara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.