KHala mein uD rahi hai gard ghar se
ḳhalā meñ uḌ rahī hai gard ghar se
abhī lauTā huuñ maiñ vāpas safar se
kareñ kyā baat ham us chārāgar se
jo vāqif hī nahīñ hai dard-e-sar se
nazar ā.eñge ham bhī 'mīr' sāhib
koī dekhe to 'ġhālib' kī nazar se
mirā aivān hai gosha-nashīnī
huī muddat nahīñ niklā huuñ ghar se
use bhī pī ga.iiñ sūraj kī kirneñ
zarā sā saaya māñgā thā sahar se
falak pairoñ ko bosa de rahā hai
kuchh is andāz se niklā huuñ ghar se
har ik zarra hai ḳhushbū meñ nahāyā
koī guzrā hai shāyad phir idhar se
'ajab ye falsafa hai zindagī kā
charāġh-e-dil huā raushan nazar se
kahāñ se ye kahāñ 'mast' aa gayā huuñ
numūd-e-shām zāhir hai sahar se
KHala mein uD rahi hai gard ghar se
abhi lauTa hun main wapas safar se
karen kya baat hum us chaaragar se
jo waqif hi nahin hai dard-e-sar se
nazar aaenge hum bhi 'mir' sahib
koi dekhe to 'ghaalib' ki nazar se
mera aiwan hai gosha-nashini
hui muddat nahin nikla hun ghar se
use bhi pi gain suraj ki kirnen
zara sa saya manga tha sahar se
falak pairon ko bosa de raha hai
kuchh is andaz se nikla hun ghar se
har ek zarra hai KHushbu mein nahaya
koi guzra hai shayad phir idhar se
'ajab ye falsafa hai zindagi ka
charagh-e-dil hua raushan nazar se
kahan se ye kahan 'mast' aa gaya hun
numud-e-sham zahir hai sahar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.