KHalal-pazir kahin aasman dekhta hun
ḳhalal-pazīr kahīñ āsmān dekhtā huuñ
kisī qabā meñ zamīn-o-zamān dekhtā huuñ
ye maiñ huuñ aur ye maiñ huuñ ye ek maiñ hī huuñ
magar ḳhalīj sī ik darmiyān dekhtā huuñ
kahāñ kahāñ na.ī tā'mīr kī zarūrat hai
so terī āñkhoñ se apnā jahān dekhtā huuñ
mirā charāġh-e-badan nūr-bār hotā hai
tirī havā ko 'ajab mehrbān dekhtā huuñ
ye maiñ yaqīn kī kis intihā pe aa pohñchā
ki apne chāroñ taraf bas gumān dekhtā huuñ
ye ḳhvāb rakkhegā bedār mujh ko barsoñ tak
tirī galī meñ maiñ apnā makān dekhtā huuñ
KHalal-pazir kahin aasman dekhta hun
kisi qaba mein zamin-o-zaman dekhta hun
ye main hun aur ye main hun ye ek main hi hun
magar KHalij si ek darmiyan dekhta hun
kahan kahan nai ta'mir ki zarurat hai
so teri aankhon se apna jahan dekhta hun
mera charagh-e-badan nur-bar hota hai
teri hawa ko 'ajab mehrban dekhta hun
ye main yaqin ki kis intiha pe aa pohncha
ki apne chaaron taraf bas guman dekhta hun
ye KHwab rakkhega bedar mujh ko barson tak
teri gali mein main apna makan dekhta hun
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 19)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.