KHalish dil ki rafiq-e-sham-e-tanhai bhi hoti hai
KHalish dil ki rafiq-e-sham-e-tanhai bhi hoti hai
Tahavvur Ali Zaidi
MORE BYTahavvur Ali Zaidi
ḳhalish dil kī rafīq-e-shām-e-tanhā.ī bhī hotī hai
magar jab had se baḌh jaatī hai rusvā.ī bhī hotī hai
farāham jin se sāmān-e-jarāhat hote rahte haiñ
unhī nazroñ meñ dar-parda masīhā.ī bhī hotī hai
nazar mahsūs kar saktī nahīñ jis kī latāfat ko
kisī kī mast āñkhoñ meñ vo ra.anā.ī bhī hotī hai
yahī duniyā jo hañstī hai mire hāl-e-pareshāñ par
yahī duniyā kabhī merī tamannā.ī bhī hotī hai
adā-e-pursish-e-ahvāl par kahnā mirā āḳhir
jafā dil par ba-andāz-e-shakebā.ī bhī hotī hai
faqat nādāniyoñ par aa.e kyoñ ilzām-e-barbādī
kahīñ vaj.h-e-tabāhī sirf dānā.ī bhī hotī hai
mohabbat kā vo aalam bhī qayāmat-ḳhez hai 'zaidī'
gavārā jis kī ḳhātir dil ko rusvā.ī bhī hotī hai
KHalish dil ki rafiq-e-sham-e-tanhai bhi hoti hai
magar jab had se baDh jati hai ruswai bhi hoti hai
faraham jin se saman-e-jarahat hote rahte hain
unhi nazron mein dar-parda masihai bhi hoti hai
nazar mahsus kar sakti nahin jis ki latafat ko
kisi ki mast aankhon mein wo ranai bhi hoti hai
yahi duniya jo hansti hai mere haal-e-pareshan par
yahi duniya kabhi meri tamannai bhi hoti hai
ada-e-pursish-e-ahwal par kahna mera aaKHir
jafa dil par ba-andaz-e-shakebai bhi hoti hai
faqat nadaniyon par aae kyon ilzam-e-barbaadi
kahin wajh-e-tabahi sirf danai bhi hoti hai
mohabbat ka wo aalam bhi qayamat-KHez hai 'zaidi'
gawara jis ki KHatir dil ko ruswai bhi hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.