KHalish-e-zaKHm-e-tamanna ka mudawa bhi na tha
ḳhalish-e-zaḳhm-e-tamannā kā mudāvā bhī na thā
maiñ ne vo chāhā jo taqdīr meñ likkhā bhī na thā
itnā yaad aa.egā ik roz ye sochā bhī na thā
haa.e vo shaḳhs ki jis se koī rishta bhī na thā
kyoñ use dekh ke baḌhtī thī mirī tishna-labī
abr-pāra bhī na thā vo koī dariyā bhī na thā
dil vo sahrā ki jahāñ uḌtī thī hālāt kī gard
ġham vo bādal jo kabhī khul ke barastā bhī na thā
tū ne kyoñ jāgte rahne kī sazā dī mujh ko
tere baare meñ koī ḳhvāb to dekhā bhī na thā
ho ga.e log ye kyoñ mere lahū ke pyāse
maiñ ne to aañkh uThā kar use dekhā bhī na thā
kuchh jhijaktī huī nazreñ bhī thiiñ mahv-e-gul-gasht
maiñ chaman-zār-e-tasavvur meñ akelā bhī na thā
ba.az rātoñ meñ ye manzar bhī nazar se guzrā
sham.a bhī jaltī rahī ghar meñ ujālā bhī na thā
kabhī ban jā.egī yuuñ yaad tirī juzv-e-hayāt
maiñ ne is ruḳh se tire baab meñ sochā bhī na thā
āsmāñ aur zamīñ hadd-e-nazar tak the muhīt
ham kahāñ jaate nikal kar koī rasta bhī na thā
kuchh umīdeñ thiiñ umañgeñ thiiñ tamannā.eñ thiiñ
dil tirī raah meñ niklā to akelā bhī na thā
umr bhar karte rahe ghar kī tamanna 'tāhir'
aur taqdīr meñ dīvār kā saaya bhī na thā
KHalish-e-zaKHm-e-tamanna ka mudawa bhi na tha
main ne wo chaha jo taqdir mein likkha bhi na tha
itna yaad aaega ek roz ye socha bhi na tha
hae wo shaKHs ki jis se koi rishta bhi na tha
kyon use dekh ke baDhti thi meri tishna-labi
abr-para bhi na tha wo koi dariya bhi na tha
dil wo sahra ki jahan uDti thi haalat ki gard
gham wo baadal jo kabhi khul ke barasta bhi na tha
tu ne kyon jagte rahne ki saza di mujh ko
tere bare mein koi KHwab to dekha bhi na tha
ho gae log ye kyon mere lahu ke pyase
main ne to aankh uTha kar use dekha bhi na tha
kuchh jhijakti hui nazren bhi thin mahw-e-gul-gasht
main chaman-zar-e-tasawwur mein akela bhi na tha
baz raaton mein ye manzar bhi nazar se guzra
shama bhi jalti rahi ghar mein ujala bhi na tha
kabhi ban jaegi yun yaad teri juzw-e-hayat
main ne is ruKH se tere bab mein socha bhi na tha
aasman aur zamin hadd-e-nazar tak the muhit
hum kahan jate nikal kar koi rasta bhi na tha
kuchh umiden thin umangen thin tamannaen thin
dil teri rah mein nikla to akela bhi na tha
umr bhar karte rahe ghar ki tamanna 'tahir'
aur taqdir mein diwar ka saya bhi na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.