KHalish ka husn nazar mein rahe to achchha hai
ḳhalish kā husn nazar meñ rahe to achchhā hai
abhī ye tiir jigar meñ rahe to achchhā hai
mirā ḳhayāl-e-pareshāñ bhī ai shab-e-hijrāñ
jo bazm-e-najm-o-qamar meñ rahe to achchhā hai
gire nazar se to ashkoñ kī aabrū jaa.e
sadā ye aab guhar meñ rahe to achchhā hai
hamesha ishq kī ātish ko siine meñ rakkheñ
jigar kā ḳhuun jigar meñ rahe to achchhā hai
taḌap na dil ki raqīb aa.eñ chārāgar ban kar
ye ghar kī baat hai ghar meñ rahe to achchhā hai
ajab nahīñ vo kisī roz ham-navā ho jaa.eñ
mirā ḳhayāl ḳhabar meñ rahe to achchhā hai
usī ko jehd-e-musalsal kī aabrū kahiye
yaqīñ kā saath safar meñ rahe to achchhā hai
ġhazal to ḳhuub sajā.ī hai aap ne lekin
hunar ye dast-e-hunar meñ rahe to achchhā hai
'nazīr' jhiil kā paanī bhī suukh saktā hai
kañval ye dīda-e-tar meñ rahe to achchhā hai
KHalish ka husn nazar mein rahe to achchha hai
abhi ye tir jigar mein rahe to achchha hai
mera KHayal-e-pareshan bhi ai shab-e-hijran
jo bazm-e-najm-o-qamar mein rahe to achchha hai
gire nazar se to ashkon ki aabru jae
sada ye aab guhar mein rahe to achchha hai
hamesha ishq ki aatish ko sine mein rakkhen
jigar ka KHun jigar mein rahe to achchha hai
taDap na dil ki raqib aaen chaaragar ban kar
ye ghar ki baat hai ghar mein rahe to achchha hai
ajab nahin wo kisi roz ham-nawa ho jaen
mera KHayal KHabar mein rahe to achchha hai
usi ko jehd-e-musalsal ki aabru kahiye
yaqin ka sath safar mein rahe to achchha hai
ghazal to KHub sajai hai aap ne lekin
hunar ye dast-e-hunar mein rahe to achchha hai
'nazir' jhil ka pani bhi sukh sakta hai
kanwal ye dida-e-tar mein rahe to achchha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.