KHalwat-e-yak-sard mein jab misl-e-aina khula
ḳhalvat-e-yak-sard meñ jab misl-e-ā.īna khulā
kyā farāvānī liye ham par vo ganjīna khulā
ye riyāzat zindagī bhar kī visāl-āmez hai
jab vo pairāhan khulā to shauq-e-derīna khulā
kin ḳhunuk-āsār mausam meñ ye dil maa.il huā
jaam chhalke jā rahe the jab vo sāzīna khulā
dahr ho yā bazm ho kam-kam hī hotā hai karam
us ko nā-bīnā na samjho jis pe vo biinā khulā
vahshat-e-ā.indagāñ meñ ḳhaak haiñ sab ḳhāl-o-ḳhad
ik nazar bhar kar jo dekhā 'aks-e-pārīna khulā
ḳhuub thā pahr-e-'ināyat apnī hairānī ke saath
aaj hī kī shab thī shāyad jab vo ā.īna khulā
KHalwat-e-yak-sard mein jab misl-e-aina khula
kya farawani liye hum par wo ganjina khula
ye riyazat zindagi bhar ki visal-amez hai
jab wo pairahan khula to shauq-e-derina khula
kin KHunuk-asar mausam mein ye dil mail hua
jam chhalke ja rahe the jab wo sazina khula
dahr ho ya bazm ho kam-kam hi hota hai karam
us ko na-bina na samjho jis pe wo bina khula
wahshat-e-aindagan mein KHak hain sab KHal-o-KHad
ek nazar bhar kar jo dekha 'aks-e-parina khula
KHub tha pahr-e-'inayat apni hairani ke sath
aaj hi ki shab thi shayad jab wo aaina khula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.