KHamdar aur gesu-e-KHamdar ho gaya
KHamdar aur gesu-e-KHamdar ho gaya
Maharaja Sir Kishan Parashad Shad
MORE BYMaharaja Sir Kishan Parashad Shad
ḳhamdār aur gesū-e-ḳhamdār ho gayā
abrū-e-yār kā ye taraf-dār ho gayā
be-ishq yak maraz thī mujhe apnī zindagī
achchhā huā jo ishq kā āzār ho gayā
dil us ke ishq se kabhī himmat na hārtā
teġh-e-firāq se jigar afgār ho gayā
īmān aur kufr ke jhagḌoñ ne ye kiyā
ik dil do āfatoñ meñ giraftār ho gayā
va.ade kī raat aa ke vo kyā so.e mere ghar
ḳhvābīda baḳht thā mirā bedār ho gayā
kyūñkar na khā.eñ ḳhaar adū is bahār se
vo rashk-e-gul gale kā mire haar ho gayā
baiThe-biThā.e ghar meñ ye daulat huī nasīb
us māh-vash kā ḳhvāb meñ dīdār ho gayā
bāzār-e-ishq meñ yahī saudā gayā hai aaj
īmān de ke us kā ḳharīdār ho gayā
kyā us ko samjhe ho vo purānā hai bāda-kash
kab pārsā thā 'shād' jo mai-ḳhvār ho gayā
KHamdar aur gesu-e-KHamdar ho gaya
abru-e-yar ka ye taraf-dar ho gaya
be-ishq yak maraz thi mujhe apni zindagi
achchha hua jo ishq ka aazar ho gaya
dil us ke ishq se kabhi himmat na haarta
tegh-e-firaq se jigar afgar ho gaya
iman aur kufr ke jhagDon ne ye kiya
ek dil do aafaton mein giraftar ho gaya
wade ki raat aa ke wo kya soe mere ghar
KHwabida baKHt tha mera bedar ho gaya
kyunkar na khaen KHar adu is bahaar se
wo rashk-e-gul gale ka mere haar ho gaya
baiThe-biThae ghar mein ye daulat hui nasib
us mah-wash ka KHwab mein didar ho gaya
bazar-e-ishq mein yahi sauda gaya hai aaj
iman de ke us ka KHaridar ho gaya
kya us ko samjhe ho wo purana hai baada-kash
kab parsa tha 'shad' jo mai-KHwar ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.