KHamida rah ko sidha ghalat bataya hai
ḳhamīda raah ko sīdhā ġhalat batāyā hai
kisī ne andhoñ ko rasta ġhalat batāyā hai
zarūr chor thā is marne vaale ke dil meñ
tabhī ḳhazāne kā naqsha ġhalat batāyā hai
maiñ ek baat batātā magar buzurgoñ ne
har ek baat batānā ġhalat batāyā hai
yahāñ pe rahtā nahīñ koī qais naam kā shaḳhs
kisī ne aap ko sahrā ġhalat batāyā hai
ye ziist vāqa.ī mushkil hai yā mujhe dil ne
guzārne kā tarīqa ġhalat batāyā hai
hamārī dar-badarī kyuuñ pasand hai us ko
na-jāne kyuuñ patā apnā ġhalat batāyā hai
jadīd daur ke darvesh haiñ 'aqīl' hamīñ
harīf ne sag-e-duniyā ġhalat batāyā hai
KHamida rah ko sidha ghalat bataya hai
kisi ne andhon ko rasta ghalat bataya hai
zarur chor tha is marne wale ke dil mein
tabhi KHazane ka naqsha ghalat bataya hai
main ek baat batata magar buzurgon ne
har ek baat batana ghalat bataya hai
yahan pe rahta nahin koi qais nam ka shaKHs
kisi ne aap ko sahra ghalat bataya hai
ye zist waqai mushkil hai ya mujhe dil ne
guzarne ka tariqa ghalat bataya hai
hamari dar-badari kyun pasand hai us ko
na-jaane kyun pata apna ghalat bataya hai
jadid daur ke darwesh hain 'aqil' hamin
harif ne sag-e-duniya ghalat bataya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.