KHamosh dard tha rote hue dilase the
ḳhamosh dard thā rote hue dilāse the
nigāheñ ek taraf ik taraf tamāshe the
miTānā chāheñ bhī to kis tarah miTā paa.eñ
ki ek dūsre ke dil pe naam likkhe the
hamārā mas.ala johaḌ kā mas.ala nahīñ thā
hamāre aañsū tavātur se bahte rahte the
maiñ sochtī huuñ bhalā us kā kyā banā jis ne
mirī tarah ka.ī ḳhush-rang ḳhvāb dekhe the
abhī se mere hunar aib ho ga.e kaise
abhī to maiñ ne yahāñ sirf paañv rakkhe the
hamāre zehnoñ meñ pahle se sarsarāhaT thī
isī liye to kahānī meñ saañp aa.e the
na-jāne zahr thā merī ragoñ meñ yā us meñ
mirā tamām badan us ke hoñT niile the
KHamosh dard tha rote hue dilase the
nigahen ek taraf ek taraf tamashe the
miTana chahen bhi to kis tarah miTa paen
ki ek dusre ke dil pe nam likkhe the
hamara masala johaD ka masala nahin tha
hamare aansu tawatur se bahte rahte the
main sochti hun bhala us ka kya bana jis ne
meri tarah kai KHush-rang KHwab dekhe the
abhi se mere hunar aib ho gae kaise
abhi to main ne yahan sirf panw rakkhe the
hamare zehnon mein pahle se sarsarahaT thi
isi liye to kahani mein sanp aae the
na-jaane zahr tha meri ragon mein ya us mein
mera tamam badan us ke honT nile the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.