KHamosh ho gaya aaKHir pukarne wala
ḳhamosh ho gayā āḳhir pukārne vaalā
milā na bojh koī bhī utārne vaalā
hazār chehre pe pākīzgī sahī us ke
magar hai ḳhvāhisheñ dil meñ ubhārne vaalā
hazār rang na badle zamīn bhī kyūñkar
hai āsmān ka.ī ruup dhārne vaalā
rahā hai kārgah-e-fan meñ kāmyāb bahut
har ek baazī zamāne meñ hārne vaalā
nahīñ hai koī 'jahāñgīr' ik hamāre sivā
ġhamoñ se zindagī apnī nikhārne vaalā
KHamosh ho gaya aaKHir pukarne wala
mila na bojh koi bhi utarne wala
hazar chehre pe pakizgi sahi us ke
magar hai KHwahishen dil mein ubhaarne wala
hazar rang na badle zamin bhi kyunkar
hai aasman kai rup dhaarne wala
raha hai kargah-e-fan mein kaamyab bahut
har ek bazi zamane mein haarne wala
nahin hai koi 'jahangir' ek hamare siwa
ghamon se zindagi apni nikhaarne wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.