KHamosh honTon se sare kalam karne lage
ḳhamosh hoñToñ se saare kalām karne lage
vo sab ke sab tire baare kalām karne lage
Dhalī jo shaam to ashkoñ se guftugū thī mirī
phir is ke baad sitāre kalām karne lage
tumhārā zikr chhiḌā jab to mo.ajiza ye huā
ki jitne gūñge the saare kalām karne lage
tirī udāsiyoñ bechainiyoñ se zāhir hai
ki ab ye zaḳhm hamāre kalām karne lage
kisī ke sāmne gulzār aag hone lagī
kisī ke jism se aare kalām karne lage
hamārī ġhazloñ kā 'tāsīr' aasrā le kar
tumhāre hijr ke maare kalām karne lage
KHamosh honTon se sare kalam karne lage
wo sab ke sab tere bare kalam karne lage
Dhali jo sham to ashkon se guftugu thi meri
phir is ke baad sitare kalam karne lage
tumhaara zikr chhiDa jab to moajiza ye hua
ki jitne gunge the sare kalam karne lage
teri udasiyon bechainiyon se zahir hai
ki ab ye zaKHm hamare kalam karne lage
kisi ke samne gulzar aag hone lagi
kisi ke jism se aare kalam karne lage
hamari ghazlon ka 'tasir' aasra le kar
tumhaare hijr ke mare kalam karne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.