KHamosh kyon hain nazaron ko dekhne wale
KHamosh kyon hain nazaron ko dekhne wale
Ustad Azmat Hussain Khan
MORE BYUstad Azmat Hussain Khan
ḳhamosh kyoñ haiñ nazāroñ ko dekhne vaale
bahak na jaa.eñ ishāroñ ko dekhne vaale
nigāh dil kī taraf bhī kabhī uThā.ī hai
ba-yak nigāh hazāroñ ko dekhne vaale
nigāh koī ḳhizāñ ke liye bhī hai ki nahīñ
chaman meñ sirf bahāroñ ko dekhne vaale
baḌhā.e jaao qadam apnā jānib-e-manzil
bahut haiñ rāh-guzāroñ ko dekhne vaale
zamīñ pe rah ke zamīñ kā koī ḳhayāl nahīñ
falak pe chāñd sitāroñ ko dekhne vaale
ye kyoñ jhijhak se rahe haiñ ye kyoñ ThiThak se ga.e
guloñ ke saa.e meñ ḳhāroñ ko dekhne vaale
safīna shorish-e-tūfāñ kī nazr ho jaatā
na Dūbte jo kināroñ ko dekhne vaale
yahī hai vaqt ki ruḳh moḌ deñ havāoñ kā
kahāñ haiñ vaqt ke dhāroñ ko dekhne vaale
haiñ chand log abhī mai-kade meñ ai saaqī
tirī nazar ke ishāroñ ko dekhne vaale
jo merī aañkh se gir kar hai zīnat-e-dāman
use bhī dekh sitāroñ ko dekhne vaale
jo baḌh ga.e vahī manzil-nasīb the 'maikash'
paḌe hue haiñ sahāroñ ko dekhne vaale
KHamosh kyon hain nazaron ko dekhne wale
bahak na jaen ishaaron ko dekhne wale
nigah dil ki taraf bhi kabhi uThai hai
ba-yak nigah hazaron ko dekhne wale
nigah koi KHizan ke liye bhi hai ki nahin
chaman mein sirf bahaaron ko dekhne wale
baDhae jao qadam apna jaanib-e-manzil
bahut hain rah-guzaron ko dekhne wale
zamin pe rah ke zamin ka koi KHayal nahin
falak pe chand sitaron ko dekhne wale
ye kyon jhijhak se rahe hain ye kyon ThiThak se gae
gulon ke sae mein KHaron ko dekhne wale
safina shorish-e-tufan ki nazr ho jata
na Dubte jo kinaron ko dekhne wale
yahi hai waqt ki ruKH moD den hawaon ka
kahan hain waqt ke dhaaron ko dekhne wale
hain chand log abhi mai-kade mein ai saqi
teri nazar ke ishaaron ko dekhne wale
jo meri aankh se gir kar hai zinat-e-daman
use bhi dekh sitaron ko dekhne wale
jo baDh gae wahi manzil-nasib the 'maikash'
paDe hue hain sahaaron ko dekhne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.