KHamosh lafzon ko teri agar raza mil jae
ḳhamosh lafzoñ ko terī agar razā mil jaa.e
to mere zehn kī fikroñ ko zāviya mil jaa.e
jo sābiroñ kā bayābāñ meñ naqsh-e-pā mil jaa.e
to mere paañv ke chhāloñ ko rahnumā mil jaa.e
agar nazar ko haqīqat kā aa.ina mil jaa.e
taḳhayyulāt-e-ravānī ko silsila mil jaa.e
yatīm lafzoñ kī nazreñ Tikī haiñ sū-e-qalam
varaq ke ḳhema meñ shāyad ke aasrā mil jaa.e
hamāre ḳhuun se paanī nichoḌ do maulā
hameñ bhī pyaas kā thoḌā sā zā.iqa mil jaa.e
maiñ ġham manātā huuñ sarvar kā is liye 'shārib'
ki is bahāne se shāyad mujhe ḳhudā mil jaa.e
KHamosh lafzon ko teri agar raza mil jae
to mere zehn ki fikron ko zawiya mil jae
jo sabiron ka bayaban mein naqsh-e-pa mil jae
to mere panw ke chhaalon ko rahnuma mil jae
agar nazar ko haqiqat ka aaina mil jae
taKHayyulat-e-rawani ko silsila mil jae
yatim lafzon ki nazren Tiki hain su-e-qalam
waraq ke KHema mein shayad ke aasra mil jae
hamare KHun se pani nichoD do maula
hamein bhi pyas ka thoDa sa zaiqa mil jae
main gham manata hun sarwar ka is liye 'shaarib'
ki is bahane se shayad mujhe KHuda mil jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.