KHamoshi bhi zaban-e-muddaa malum hoti hai
ḳhamoshī bhī zabān-e-mudda.ā ma.alūm hotī hai
mohabbat iltijā hī iltijā ma.alūm hotī hai
maiñ apne ḳhūn-e-nāhaq kī ab un se daad kyā chāhūñ
nazar un kī nadāmat-āshnā ma.alūm hotī hai
mujhe to apnī barbādī kā shikva hai muqaddar se
ye maiñ ne kab kahā un kī ḳhatā ma.alūm hotī hai
mujhe barbād ġham ho kar tire dar tak pahuñchnā hai
ye barbādī mirī ḳhud rahnumā ma.alūm hotī hai
javānī aur be-parvā ḳhirāmī ai ma.āz-allāh
qayāmat hai qayāmat zer-e-pā ma.alūm hotī hai
alag hai sab se andāz-e-junūñ merī mohabbat kā
mirī vahshat zamāne se judā ma.alūm hotī hai
mirī har baat 'azmat' tarjumān-e-ahl-e-ālam hai
ye duniyā mujh ko merī ham-navā ma.alūm hotī hai
KHamoshi bhi zaban-e-muddaa malum hoti hai
mohabbat iltija hi iltija malum hoti hai
main apne KHun-e-nahaq ki ab un se dad kya chahun
nazar un ki nadamat-ashna malum hoti hai
mujhe to apni barbaadi ka shikwa hai muqaddar se
ye main ne kab kaha un ki KHata malum hoti hai
mujhe barbaad gham ho kar tere dar tak pahunchna hai
ye barbaadi meri KHud rahnuma malum hoti hai
jawani aur be-parwa KHirami ai maaz-allah
qayamat hai qayamat zer-e-pa malum hoti hai
alag hai sab se andaz-e-junun meri mohabbat ka
meri wahshat zamane se juda malum hoti hai
meri har baat 'azmat' tarjuman-e-ahl-e-alam hai
ye duniya mujh ko meri ham-nawa malum hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.