KHamoshi ki girah khole sar-e-awaz tak aae
ḳhamoshī kī girah khole sar-e-āvāz tak aa.e
ishāra koī to samjhe koī to raaz tak aa.e
koī anjām kab se muntazir hai ik hāzir kā
koī raḳht-e-safar bāñdhe koī āġhāz tak aa.e
zamīn-e-dil ye jam jaane se kuchh hāsil nahīñ hogā
ġhubār-e-shauq se kah do zarā parvāz tak aa.e
koī mahfil baḌī ḳhāmosh hai yādoñ se phir kah do
rabāb-e-jāñ koī chheḌe koī dam-sāz tak aa.e
kisī ke naam kar Daalā thā ḳhvāboñ ke jazīre ko
safīne an-ginat varna nigāh-e-nāz tak aa.e
KHamoshi ki girah khole sar-e-awaz tak aae
ishaara koi to samjhe koi to raaz tak aae
koi anjam kab se muntazir hai ek hazir ka
koi raKHt-e-safar bandhe koi aaghaz tak aae
zamin-e-dil ye jam jaane se kuchh hasil nahin hoga
ghubar-e-shauq se kah do zara parwaz tak aae
koi mahfil baDi KHamosh hai yaadon se phir kah do
rabab-e-jaan koi chheDe koi dam-saz tak aae
kisi ke nam kar Dala tha KHwabon ke jazire ko
safine an-ginat warna nigah-e-naz tak aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.