KHamoshiyon mein sada se likha hua ek nam
ḳhamoshiyoñ meñ sadā se likhā huā ik naam
suno hai dast-e-duā se likhā huā ik naam
har ik kī apnī zabāñ hai na paḌh sakegā bashar
zamīñ pe āb-o-havā se likhā huā ik naam
jo sun sako to suno ḳhushbuoñ ke lab par hai
guloñ pe bād-e-sabā se likhā huā ik naam
chamaktā rahtā hai jab tak kuredī jaa.e na raakh
chitā pe dast-e-fanā se likhā huā ik naam
ajiib baat hai paḌhiye to harf uḌne lageñ
badan badan pe qabā se likhā huā ik naam
kabhī kabhī to baraste hue bhī dekhā hai
falak pe kaalī ghaTā se likhā huā ik naam
magar ye quvvat-e-bīnā.ī kis tarah aa.ī
havā meñ dekhā havā se likhā huā ik naam
kabhī khuleñgī agar muTThiyāñ to dekheñge
hatheliyoñ pe hinā se likhā huā ik naam
ye kā.enāt to lagtā hai 'nūr' jaise ho
kisī kī ḳhaas adā se likhā huā ik naam
KHamoshiyon mein sada se likha hua ek nam
suno hai dast-e-dua se likha hua ek nam
har ek ki apni zaban hai na paDh sakega bashar
zamin pe aab-o-hawa se likha hua ek nam
jo sun sako to suno KHushbuon ke lab par hai
gulon pe baad-e-saba se likha hua ek nam
chamakta rahta hai jab tak kuredi jae na rakh
chita pe dast-e-fana se likha hua ek nam
ajib baat hai paDhiye to harf uDne lagen
badan badan pe qaba se likha hua ek nam
kabhi kabhi to baraste hue bhi dekha hai
falak pe kali ghaTa se likha hua ek nam
magar ye quwwat-e-binai kis tarah aai
hawa mein dekha hawa se likha hua ek nam
kabhi khulengi agar muTThiyan to dekhenge
hatheliyon pe hina se likha hua ek nam
ye kaenat to lagta hai 'nur' jaise ho
kisi ki KHas ada se likha hua ek nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.