KHanda-e-gul mein bhi poshida fughan ho jaise
ḳhanda-e-gul meñ bhī poshīda fuġhāñ ho jaise
shāḳh-e-gul anjuman-e-nauha-garāñ ho jaise
aap ne kah dī vahī baat jo muñh par thī mire
aap ke muñh meñ bhī merī hī zabāñ ho jaise
aisā lagtā hai shahanshāh-e-jahāñgīr huuñ maiñ
malika-e-āliya tum nuur jahāñ ho jaise
kuchh ajab tarz kī is saal jalī hai holī
zinda lāshoñ kī chitāoñ kā dhuāñ ho jaise
vaqt ke dasht-e-masāfat kā hai mausam kaisā
sab kī āñkhoñ meñ bharā talḳh dhuāñ ho jaise
bujhtī sham.oñ kā bhī mātam nahīñ kartā koī
zindagī anjuman-e-zinda-dilāñ ho jaise
KHanda-e-gul mein bhi poshida fughan ho jaise
shaKH-e-gul anjuman-e-nauha-garan ho jaise
aap ne kah di wahi baat jo munh par thi mere
aap ke munh mein bhi meri hi zaban ho jaise
aisa lagta hai shahanshah-e-jahangir hun main
malika-e-aliya tum nur jahan ho jaise
kuchh ajab tarz ki is sal jali hai holi
zinda lashon ki chitaon ka dhuan ho jaise
waqt ke dasht-e-masafat ka hai mausam kaisa
sab ki aankhon mein bhara talKH dhuan ho jaise
bujhti shamon ka bhi matam nahin karta koi
zindagi anjuman-e-zinda-dilan ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.