khanDar jo ho gaya aisa makan kis ka tha
khañDar jo ho gayā aisā makān kis kā thā
havā jo sah na sakā sā.ebān kis kā thā
zamīn kis kī thī aur āsmān kis kā thā
ḳhayāl kis kā thā dil meñ gumān kis kā thā
thake hue the musāfir kināre lag jaate
vo kashtī Duub ga.ī bādbān kis kā thā
ġhurūr thā jinheñ apnī zamīn-dārī kā
zamīn-doz huā ḳhāndān kis kā thā
vo ek lamha bhī mere qarīb aa na sakā
maiñ jis ko chhū na sakī āsmān kis kā thā
ḳhudā samajh ke jhukāyā thā sar tire aage
jabīñ pe merī vo dhuñdlā nishān kis kā thā
jo chhīn le gayā mujh se mirī matā-e-hayāt
vo haath tere mire darmiyān kis kā thā
shikārī ho ke huā ḳhud shikār hairat hai
jo ūñche peḌ pe thā vo machān kis kā thā
vo jis kī aaj bhī 'ruḳhsār' guuñj baaqī hai
misālī shahr meñ vo ḳhāndān kis kā thā
khanDar jo ho gaya aisa makan kis ka tha
hawa jo sah na saka saeban kis ka tha
zamin kis ki thi aur aasman kis ka tha
KHayal kis ka tha dil mein guman kis ka tha
thake hue the musafir kinare lag jate
wo kashti Dub gai baadban kis ka tha
ghurur tha jinhen apni zamin-dari ka
zamin-doz hua KHandan kis ka tha
wo ek lamha bhi mere qarib aa na saka
main jis ko chhu na saki aasman kis ka tha
KHuda samajh ke jhukaya tha sar tere aage
jabin pe meri wo dhundla nishan kis ka tha
jo chhin le gaya mujh se meri mata-e-hayat
wo hath tere mere darmiyan kis ka tha
shikari ho ke hua KHud shikar hairat hai
jo unche peD pe tha wo machan kis ka tha
wo jis ki aaj bhi 'ruKHsar' gunj baqi hai
misali shahr mein wo KHandan kis ka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.