khanDar mein dafn hui hain imaraten kya kya
khañDar meñ dafn huī haiñ imārateñ kyā kyā
likhī haiñ katba-e-dil par ibārateñ kyā kiyā
hisār-e-barf meñ rahnā kabhī sarāboñ meñ
safar ke shauq ne sauñpī sifārateñ kyā kyā
talāsh-e-lafz meñ umroñ kī kāvishoñ kā samar
añdhere ġhaar meñ ghūmīñ basārteñ kyā kyā
kahīñ badan ke haiñ saude kahīñ zamīroñ ke
huī haiñ shahr meñ ab ke tijārateñ kyā kyā
savere aañkh khulī to nazar meñ kuchh bhī na thā
ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ pā.īñ bashārateñ kyā kyā
dayār-e-zar se matā-e-anā bachā laa.e
nazar nazar meñ bharī thiiñ hiqārateñ kyā kyā
tan-e-shikasta kī ta.amīr ke liye 'rāsiḳh'
amal meñ laa.ī ga.ī haiñ mahārateñ kyā kyā
khanDar mein dafn hui hain imaraten kya kya
likhi hain katba-e-dil par ibaraten kya kiya
hisar-e-barf mein rahna kabhi sarabon mein
safar ke shauq ne saunpi sifaraten kya kya
talash-e-lafz mein umron ki kawishon ka samar
andhere ghaar mein ghumin basarten kya kya
kahin badan ke hain saude kahin zamiron ke
hui hain shahr mein ab ke tijaraten kya kya
sawere aankh khuli to nazar mein kuchh bhi na tha
KHayal-o-KHwab mein pain bashaaraten kya kya
dayar-e-zar se mata-e-ana bacha lae
nazar nazar mein bhari thin hiqaraten kya kya
tan-e-shikasta ki tamir ke liye 'rasiKH'
amal mein lai gai hain mahaaraten kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.