khanDar mein khoe KHazane talash karta hai
khanDar mein khoe KHazane talash karta hai
Saifurrahman Abbad Ghazipuri
MORE BYSaifurrahman Abbad Ghazipuri
khañDar meñ kho.e ḳhazāne talāsh kartā hai
vo shaḳhs guzre zamāne talāsh kartā hai
jadīdiyat ke sabhī taur us ne apnā.e
magar vo dost purāne talāsh kartā hai
udhar vo aa.e idhar nam huiiñ mirī palkeñ
ki ashk bhī to bahāne talāsh kartā hai
tumhāre ghar meñ parinde ko haq hai aane kā
vo apne rizq ke daane talāsh kartā hai
vo soch kar ke chhuā hogā un ko purkhoñ ne
vo kāġhzāt purāne talāsh kartā hai
vo apne ahd kā ik lams chāTne ke liye
purānī tarz ke gaane talāsh kartā hai
karegā mujh pe vo tanqīd jaane kyā 'abbād'
jo mere saare fasāne talāsh kartā hai
khanDar mein khoe KHazane talash karta hai
wo shaKHs guzre zamane talash karta hai
jadidiyat ke sabhi taur us ne apnae
magar wo dost purane talash karta hai
udhar wo aae idhar nam huin meri palken
ki ashk bhi to bahane talash karta hai
tumhaare ghar mein parinde ko haq hai aane ka
wo apne rizq ke dane talash karta hai
wo soch kar ke chhua hoga un ko purkhon ne
wo kaghzat purane talash karta hai
wo apne ahd ka ek lams chaTne ke liye
purani tarz ke gane talash karta hai
karega mujh pe wo tanqid jaane kya 'abbaad'
jo mere sare fasane talash karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.