KHanjar tere hathon mein sanbhal jae to achchha
ḳhanjar tire hāthoñ meñ sañbhal jaa.e to achchhā
qātil mirā armān nikal jaa.e to achchhā
mar jā.eñge par dil na lagā.eñge kisī se
jī aur kisī Dhab se bahal jaa.e to achchhā
har roz vo DhūñDhe haiñ koī taaza ḳharīdār
sūrat mirī har roz badal jaa.e to achchhā
aane se tire jaan to Thahrī thī koī dam
ik dam ke liye jī bhī sañbhal jaa.e to achchhā
tā-hashr tire daam se mushkil hai rihā.ī
is saude kā mar kar bhī ḳhalal jaa.e to achchhā
mar kar bhī ye kahtā huuñ ki jo jī meñ hai mere
is dam kī tarah jī se nikal jaa.e to achchhā
har sher safā.ī meñ hai us ruḳh ke barābar
taskīn' vahāñ ye bhī ġhazal jaa.e to achchhā
KHanjar tere hathon mein sanbhal jae to achchha
qatil mera arman nikal jae to achchha
mar jaenge par dil na lagaenge kisi se
ji aur kisi Dhab se bahal jae to achchha
har roz wo DhunDhe hain koi taza KHaridar
surat meri har roz badal jae to achchha
aane se tere jaan to Thahri thi koi dam
ek dam ke liye ji bhi sanbhal jae to achchha
ta-hashr tere dam se mushkil hai rihai
is saude ka mar kar bhi KHalal jae to achchha
mar kar bhi ye kahta hun ki jo ji mein hai mere
is dam ki tarah ji se nikal jae to achchha
har sher safai mein hai us ruKH ke barabar
taskin' wahan ye bhi ghazal jae to achchha
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 102)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.