KHanjaron ki jahan dhaaron pe gale rakkhe the
ḳhanjaroñ kī jahāñ dhāroñ pe gale rakkhe the
zindagī ke vahāñ tohfe bhī saje rakkhe the
bāñTne niklā thā vo shaḳhs ujāloñ kī zakāt
jis ke ghar ke diye maqtal meñ bujhe rakkhe the
ek zālim kī himāyat kā ye niklā anjām
ghar pe pahuñchā to mire haath kaTe rakkhe the
chor ḳhud aan ke us ghar meñ bahut pachhtā.e
jin meñ paanī bhī na thā ulTe ghaḌe rakkhe the
ghar ke tāqoñ meñ the miTTī ke purāne bartan
un meñ daulat kī jagah faaqe bhare rakkhe the
hākim-e-shahr ne is jurm meñ phāñsī de dī
naam bachchoñ ke ġharīboñ ne baḌe rakkhe the
le ga.e un ko amīroñ ke pakaḌ kar bachche
chaar jugnū jo ujāloñ ke liye rakkhe the
KHanjaron ki jahan dhaaron pe gale rakkhe the
zindagi ke wahan tohfe bhi saje rakkhe the
banTne nikla tha wo shaKHs ujalon ki zakat
jis ke ghar ke diye maqtal mein bujhe rakkhe the
ek zalim ki himayat ka ye nikla anjam
ghar pe pahuncha to mere hath kaTe rakkhe the
chor KHud aan ke us ghar mein bahut pachhtae
jin mein pani bhi na tha ulTe ghaDe rakkhe the
ghar ke taqon mein the miTTi ke purane bartan
un mein daulat ki jagah faqe bhare rakkhe the
hakim-e-shahr ne is jurm mein phansi de di
nam bachchon ke gharibon ne baDe rakkhe the
le gae un ko amiron ke pakaD kar bachche
chaar jugnu jo ujalon ke liye rakkhe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.