KHarab-haal wafa ko rulae jate hain
ḳharāb-hāl vafā ko rulā.e jaate haiñ
nazar churā.e hue muskurā.e jaate haiñ
vafā-shi'ār sahī ġhair mujh se kyoñ kahiye
ye roz kis liye qisse sunā.e jaate haiñ
vafā kī qadr tirī anjuman meñ kyoñ hotī
fareb-e-ġhair ke naqshe jamā.e jaate haiñ
tum apne husn pe nāzāñ ho aur ahl-e-nazar
dil-e-ḳharāb kī qīmat baḌhā.e jaate haiñ
kise ḳhabar hai ki anjām-e-ārzū kyā ho
nasīb-e-ishq-o-vafā āzmā.e jaate haiñ
kabhī to 'ishq-o-havas meñ bhī chāhiye ye tamīz
isī umiid pe sadme uThā.e jaate haiñ
ḳhirām-e-nāz kī hashr-āfrīniyāñ tauba
qadam qadam pe qayāmat uThā.e jaate haiñ
ab un kī yaad ko kyoñ kar bhulā.iye dil se
ki resha resha meñ vo to samā.e jaate haiñ
sunā hai ab to haiñ 'razmī' bhī bāryāb-e-jamāl
us anjuman meñ hamesha bulā.e jaate haiñ
KHarab-haal wafa ko rulae jate hain
nazar churae hue muskurae jate hain
wafa-shi'ar sahi ghair mujh se kyon kahiye
ye roz kis liye qisse sunae jate hain
wafa ki qadr teri anjuman mein kyon hoti
fareb-e-ghair ke naqshe jamae jate hain
tum apne husn pe nazan ho aur ahl-e-nazar
dil-e-KHarab ki qimat baDhae jate hain
kise KHabar hai ki anjam-e-arzu kya ho
nasib-e-ishq-o-wafa aazmae jate hain
kabhi to 'ishq-o-hawas mein bhi chahiye ye tamiz
isi umid pe sadme uThae jate hain
KHiram-e-naz ki hashr-afriniyan tauba
qadam qadam pe qayamat uThae jate hain
ab un ki yaad ko kyon kar bhulaiye dil se
ki resha resha mein wo to samae jate hain
suna hai ab to hain 'razmi' bhi baryab-e-jamal
us anjuman mein hamesha bulae jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.