KHarab-haalon mein gham-KHwar baaten karte hain
ḳharāb-hāloñ meñ ġham-ḳhvār bāteñ karte haiñ
kyā vaqt hai ki mire yaar bāteñ karte haiñ
mire ḳhilāf jo kahnā hai mere muñh pe kaheñ
ye log kyoñ pas-e-dīvār bāteñ karte haiñ
zabāñ se baat nikalne kī der hotī hai
ravayye chīḳhte kirdār bāteñ karte haiñ
ye log jo bhī kaheñ un kī an-sunī karnā
hamāre baare meñ be-kār bāteñ karte haiñ
tamām apnoñ kā rakhtā huuñ maan maiñ lekin
mujhe ye Tokte har baar bāteñ karte haiñ
maiñ chīḳhtā huuñ mirī baat kyoñ nahīñ sunte
mujhe tumhāre taraf-dār bāteñ karte haiñ
udaas lafz varaq par bikher detā huuñ
to chupke chupke sab ash.ār bāteñ karte haiñ
vo chehra dekh ke dukh-dard bhuul jaatā huuñ
vo āñkheñ boltī ruḳhsār bāteñ karte haiñ
jahāñ hamāre sivā aur koī nahīñ hotā
ham un se soch ke is paar bāteñ karte haiñ
maiñ chāhtā huuñ vo har lamha mujh se bāteñ kareñ
magar vo 'shoḳh-jī' do-chār bāteñ karte haiñ
KHarab-haalon mein gham-KHwar baaten karte hain
kya waqt hai ki mere yar baaten karte hain
mere KHilaf jo kahna hai mere munh pe kahen
ye log kyon pas-e-diwar baaten karte hain
zaban se baat nikalne ki der hoti hai
rawayye chiKHte kirdar baaten karte hain
ye log jo bhi kahen un ki an-suni karna
hamare bare mein be-kar baaten karte hain
tamam apnon ka rakhta hun man main lekin
mujhe ye Tokte har bar baaten karte hain
main chiKHta hun meri baat kyon nahin sunte
mujhe tumhaare taraf-dar baaten karte hain
udas lafz waraq par bikher deta hun
to chupke chupke sab ashaar baaten karte hain
wo chehra dekh ke dukh-dard bhul jata hun
wo aankhen bolti ruKHsar baaten karte hain
jahan hamare siwa aur koi nahin hota
hum un se soch ke is par baaten karte hain
main chahta hun wo har lamha mujh se baaten karen
magar wo 'shoKH-ji' do-chaar baaten karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.