Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHasare mein rahe lekin na chhoDi sadgi humne

Ghayas Anjum

KHasare mein rahe lekin na chhoDi sadgi humne

Ghayas Anjum

MORE BYGhayas Anjum

    ḳhasāre meñ rahe lekin na chhoḌī sādgī ham ne

    ba-har-sūrat nibhā.ī dushmanoñ se dostī ham ne

    salaf the jo hamāre misl-e-ḳhurshīd-o-mah-o-anjum

    unhī ke rāste pe chal ke paa.ī raushnī ham ne

    adab ke dā.ere ko de vus.at saare aalam

    ki us ābiyārī barā.e zindagī ham ne

    jahāñ vaalo na maano tum magar sach hai ki duniyā meñ

    baḌhāyā hai tah-e-ḳhanjar vaqār-e-āshiqī ham ne

    yahāñ sach bolne par zahr pyāla miltā hai

    ajab rasm-e-sitam dekhī hai tere shahr ham ne

    vasā.el jab ki saare ho chuke the be-asar 'anjum'

    charāġh-e-dil jalā kar duur hai tīrgī ham ne

    KHasare mein rahe lekin na chhoDi sadgi hum ne

    ba-har-surat nibhai dushmanon se dosti hum ne

    salaf the jo hamare misl-e-KHurshid-o-mah-o-anjum

    unhi ke raste pe chal ke pai raushni hum ne

    adab ke daere ko de di wusat sare aalam ki

    ki us ki aabiyari ki barae zindagi hum ne

    jahan walo na mano tum magar sach hai ki duniya mein

    baDhaya hai tah-e-KHanjar waqar-e-ashiqi hum ne

    yahan sach bolne par zahr ka pyala hi milta hai

    ajab rasm-e-sitam dekhi hai tere shahr ki hum ne

    wasael jab ki sare ho chuke the be-asar 'anjum'

    charagh-e-dil jala kar dur ki hai tirgi hum ne

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now