KHasta diwar pe sabza dekhun
ḳhasta dīvār pe sabza dekhūñ
ghar kī vīrānī ko zinda dekhūñ
muḳhtalif aks Darāte haiñ mujhe
kab talak ek hī shīsha dekhūñ
bārhā maiñ ne jise kuchlā hai
har qadam par vahī saaya dekhūñ
is se pahle ki ujaḌ jaa.e shajar
maiñ koī aur Thikāna dekhūñ
ab bhī jiine kī taḌap baaqī hai
shāḳh par āḳhirī pattā dekhūñ
sirf ik baar tujhe dekhā thā
ab ye hasrat hai dobāra dekhūñ
KHasta diwar pe sabza dekhun
ghar ki virani ko zinda dekhun
muKHtalif aks Daraate hain mujhe
kab talak ek hi shisha dekhun
barha main ne jise kuchla hai
har qadam par wahi saya dekhun
is se pahle ki ujaD jae shajar
main koi aur Thikana dekhun
ab bhi jine ki taDap baqi hai
shaKH par aaKHiri patta dekhun
sirf ek bar tujhe dekha tha
ab ye hasrat hai dobara dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.