KHasta hain aziyyat mein hain bimar bahut hain
ḳhasta haiñ aziyyat meñ haiñ bīmār bahut haiñ
kuchh din se to ham ḳhud se bhī bezār bahut haiñ
be-kaif udāsī meñ Dhale ḳhvāb suhāne
ta.abīr ke lamhoñ ke talabgār bahut haiñ
gulzār meñ ḳhāroñ pe gire ashk sahar ke
shabnam ke muqaddar meñ bhī āzār bahut haiñ
vo dil se nagīne ko parakh hī nahīñ sakte
ab jauharī kam kam haiñ ḳharīdār bahut haiñ
buniyād meñ nafrat kī kahīñ iiñT lagī hai
dīvār ke gir jaane ke āsār bahut haiñ
do rang mohabbat meñ gavārā nahīñ karte
ham log usūloñ meñ vaz.a-dār bahut haiñ
ai ishq paḌāv pe kahīñ dam na nikal jaa.e
ai chāragaro rāste dushvār bahut haiñ
darvesh nahīñ koī 'safī' shahr-e-havas meñ
vaise to yahāñ sāhab-e-dastār bahut haiñ
KHasta hain aziyyat mein hain bimar bahut hain
kuchh din se to hum KHud se bhi bezar bahut hain
be-kaif udasi mein Dhale KHwab suhane
tabir ke lamhon ke talabgar bahut hain
gulzar mein KHaron pe gire ashk sahar ke
shabnam ke muqaddar mein bhi aazar bahut hain
wo dil se nagine ko parakh hi nahin sakte
ab jauhari kam kam hain KHaridar bahut hain
buniyaad mein nafrat ki kahin inT lagi hai
diwar ke gir jaane ke aasar bahut hain
do rang mohabbat mein gawara nahin karte
hum log usulon mein waza-dar bahut hain
ai ishq paDaw pe kahin dam na nikal jae
ai chaaragaro raste dushwar bahut hain
darwesh nahin koi 'safi' shahr-e-hawas mein
waise to yahan sahab-e-dastar bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.