KHat bahut uske paDhe hain kabhi dekha nahin hai
ḳhat bahut us ke paḌhe haiñ kabhī dekhā nahīñ hai
kyā mire parda-nashīñ kā koī chehrā nahīñ hai
shahr itnā bhī na kar zulm ki zid par aa jā.ūñ
merā sahrā se ta.alluq abhī TuuTā nahīñ hai
kyā dikhātā hai mire naam pe ā.īna-e-shahr
muddatoñ se mirā apnā koī chehra nahīñ hai
jism kī pyaas ko hūroñ kī bashārat pe na Taal
ye hamārā dil-e-sāda koī bachcha nahīñ hai
kuchh nahīñ tishnagī-e-dīda-e-bīnā kā ilaaj
ḳhvāb tak meñ bhī koī sūrat-e-dariyā nahīñ hai
kab mujhe tujh se mohabbat hai urūs-e-duniyā
azdavājī sā ye rishta koī rishta nahīñ hai
'farhat-ehsās' nayā chāhiye us ko har raat
magar afsos ki us sā koī paidā nahīñ hai
KHat bahut us ke paDhe hain kabhi dekha nahin hai
kya mere parda-nashin ka koi chehra nahin hai
shahr itna bhi na kar zulm ki zid par aa jaun
mera sahra se talluq abhi TuTa nahin hai
kya dikhata hai mere nam pe aaina-e-shahr
muddaton se mera apna koi chehra nahin hai
jism ki pyas ko huron ki bashaarat pe na Tal
ye hamara dil-e-sada koi bachcha nahin hai
kuchh nahin tishnagi-e-dida-e-bina ka ilaj
KHwab tak mein bhi koi surat-e-dariya nahin hai
kab mujhe tujh se mohabbat hai urus-e-duniya
azdawaji sa ye rishta koi rishta nahin hai
'farhat-ehsas' naya chahiye us ko har raat
magar afsos ki us sa koi paida nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.