Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHat-e-zist mein koi jast hai yahi raqs hai

Rasheed Nisar

KHat-e-zist mein koi jast hai yahi raqs hai

Rasheed Nisar

MORE BYRasheed Nisar

    ḳhat-e-zīst meñ koī jast hai yahī raqs hai

    ye jahān sochoñ meñ mast hai yahī raqs hai

    ye badan gulāb hai jabr kisī sabr

    mirā azm gardish-e-hast hai yahī raqs hai

    vo jo nok-e-ḳhār pe jam ga.e kahīñ tham ga.e

    ye jo raḳht dil meñ alast hai yahī raqs hai

    ye salāmtī kahīñ TuuT kar kahīñ phuuT kar

    magar ab to fat.h-e-shikast hai yahī raqs hai

    kisī jang meñ kisī rang meñ kisī sang meñ

    ik ajiib dar-o-bast hai yahī raqs hai

    baḌī chāshnī hai zahr meñ kisī lahr meñ

    ye badan to zaḳhm-parast hai yahī raqs hai

    maiñ rukā nahīñ kisī raah meñ na panāh meñ

    mirī jang dast-ba-dast hai yahī raqs hai

    maiñ vajūd-e-pul ke jamāl meñ kisī haal meñ

    mirā naam chaudah august hai yahī raqs hai

    KHat-e-zist mein koi jast hai yahi raqs hai

    ye jahan sochon mein mast hai yahi raqs hai

    ye badan gulab hai jabr ka kisi sabr ka

    mera azm gardish-e-hast hai yahi raqs hai

    wo jo nok-e-KHar pe jam gae kahin tham gae

    ye jo raKHt dil mein alast hai yahi raqs hai

    ye salamti kahin TuT kar kahin phuT kar

    magar ab to fath-e-shikast hai yahi raqs hai

    kisi jang mein kisi rang mein kisi sang mein

    ek ajib sa dar-o-bast hai yahi raqs hai

    baDi chashni si hai zahr mein kisi lahr mein

    ye badan to zaKHm-parast hai yahi raqs hai

    main ruka nahin kisi rah mein na panah mein

    meri jang dast-ba-dast hai yahi raqs hai

    main wajud-e-pul ke jamal mein kisi haal mein

    mera nam chaudah august hai yahi raqs hai

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now