KHat jalae teri taswir jala di maine
ḳhat jalā.e tirī tasvīr jalā dī maiñ ne
aaj cigarette tirī yādoñ kī bujhā dī maiñ ne
uḌ gayā hai merī āñkhoñ kā parinda kab kā
vo jo sarsabz thī ik shāḳh girā dī maiñ ne
jo mujhe jaan se pyārī thī bharī duniyā meñ
us hasīñ laḌkī kī ab yaad bhulā dī maiñ ne
raat bhar jāgte rahne kī mujhe aadat hai
thapkī ab siine pe hasrat to sulā dī maiñ ne
vo chalī aa.ī thī milne ke liye ḳhalvat meñ
apne hāthoñ se use chaa.e banā dī maiñ ne
maiñ bhī ziddī thā zarūrat se ziyāda 'qaisar'
us ko ik baar na pīchhe se sadā dī maiñ ne
KHat jalae teri taswir jala di main ne
aaj cigarette teri yaadon ki bujha di main ne
uD gaya hai meri aankhon ka parinda kab ka
wo jo sarsabz thi ek shaKH gira di main ne
jo mujhe jaan se pyari thi bhari duniya mein
us hasin laDki ki ab yaad bhula di main ne
raat bhar jagte rahne ki mujhe aadat hai
thapki ab sine pe hasrat to sula di main ne
wo chali aai thi milne ke liye KHalwat mein
apne hathon se use chae bana di main ne
main bhi ziddi tha zarurat se ziyaada 'qaisar'
us ko ek bar na pichhe se sada di main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.