KHat ki ruKHsaron par us gul ke jo tahriren hain do
KHat ki ruKHsaron par us gul ke jo tahriren hain do
Nazeer Akbarabadi
MORE BYNazeer Akbarabadi
ḳhat kī ruḳhsāroñ par us gul ke jo tahrīreñ haiñ do
hai vo mus.haf-ruḳh ki jis ke saath tafsīreñ haiñ do
husn vo turk-e-sitamgar hai ki jis ke paas chaar
tarkasheñ mizhgāñ kī aur abrū kī shamshīreñ haiñ do
yā bulāo ham ko pinhāñ yā tum aao chhup ke yaañ
gar milā chāho to milne kī ye tadbīreñ haiñ do
fil-haqīqat faiz-e-jazb-e-ishq se bāham haiñ ek
lailā-o-majnūñ kī go zāhir meñ tasvīreñ haiñ do
dil diyā aur kī vafā us kī jafāoñ par 'nazīr'
ġhaur se dekhā to ye apnī hī taqsīreñ haiñ do
KHat ki ruKHsaron par us gul ke jo tahriren hain do
hai wo mushaf-ruKH ki jis ke sath tafsiren hain do
husn wo turk-e-sitamgar hai ki jis ke pas chaar
tarkashen mizhgan ki aur abru ki shamshiren hain do
ya bulao hum ko pinhan ya tum aao chhup ke yan
gar mila chaho to milne ki ye tadbiren hain do
fil-haqiqat faiz-e-jazb-e-ishq se baham hain ek
laila-o-majnun ki go zahir mein taswiren hain do
dil diya aur ki wafa us ki jafaon par 'nazir'
ghaur se dekha to ye apni hi taqsiren hain do
- Deewan-e-Nazeer Akbarabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.