KHat mein likkha hai hamein ab lauT aana chahiye
ḳhat meñ likkhā hai hameñ ab lauT aanā chāhiye
kyā kaheñ ki lauTne ko ik zamāna chāhiye
ā.ina-sāzī miyāñ ajdād kī mīrās hai
tum batāoge mujhe kaise banānā chāhiye
dahr kī hairat-sarā meñ ab taġhayyur hai bapā
ik pasandīda sitāra jagmagānā chāhiye
hamdam-e-kohna sahī ġham-hā-e-qalb-e-sad-figār
ḳhvāb-parvar sā'atoñ meñ bhuul jaanā chāhiye
ḳhvāb kī tā'bīr chāhe dil-shikan hī kyoñ na ho
aañkh meñ jalte diyoñ ko jhilmilānā chāhiye
KHat mein likkha hai hamein ab lauT aana chahiye
kya kahen ki lauTne ko ek zamana chahiye
aaina-sazi miyan ajdad ki miras hai
tum bataoge mujhe kaise banana chahiye
dahr ki hairat-sara mein ab taghayyur hai bapa
ek pasandida sitara jagmagana chahiye
hamdam-e-kohna sahi gham-ha-e-qalb-e-sad-figar
KHwab-parwar sa'aton mein bhul jaana chahiye
KHwab ki ta'bir chahe dil-shikan hi kyon na ho
aankh mein jalte diyon ko jhilmilana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.