KHat un ko bheja hai dil ke sujhaw par humne
ḳhat un ko bhejā hai dil ke sujhāv par ham ne
bharosa kar liyā kāġhaz kī naav par ham ne
ye dil kā zaḳhm to bharne meñ hī nahīñ aatā
rakhā hai pyaar kā marham bhī ghaav par ham ne
ye ek sach hai ki tum ko bhulā nahīñ paa.e
amal kiyā thā tumhāre sujhāv par ham ne
safīna Dūbnā lāzim thā apnī hastī kā
ki ḳhvāhishoñ ko bhī laadā thā naav par ham ne
faqat hayāt kī talḳhī nahīñ hai sheroñ meñ
likhā hai apne bhī zehnī tanāv par ham ne
qimār-ḳhāna-e-ālam se tajraba jo milā
lagā diyā hai vo hāsil bhī daav par ham ne
hayāt dab ga.ī ārā.ishoñ ke malbe meñ
gañvā dī umr isī rakh-rakhāv par ham ne
KHat un ko bheja hai dil ke sujhaw par hum ne
bharosa kar liya kaghaz ki naw par hum ne
ye dil ka zaKHm to bharne mein hi nahin aata
rakha hai pyar ka marham bhi ghaw par hum ne
ye ek sach hai ki tum ko bhula nahin pae
amal kiya tha tumhaare sujhaw par hum ne
safina Dubna lazim tha apni hasti ka
ki KHwahishon ko bhi lada tha naw par hum ne
faqat hayat ki talKHi nahin hai sheron mein
likha hai apne bhi zehni tanaw par hum ne
qimar-KHana-e-alam se tajraba jo mila
laga diya hai wo hasil bhi daw par hum ne
hayat dab gai aaraishon ke malbe mein
ganwa di umr isi rakh-rakhaw par hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.