KHat usne zamana hua likkha bhi nahin hai
ḳhat us ne zamāna huā likkhā bhī nahīñ hai
vo ruuTh gayā mujh se ho aisā bhī nahīñ hai
kyoñ talḳh batāyā hai use hazrat-e-vā.iz
jis mai ko kabhī aap ne chakkhā bhī nahīñ hai
vo shaḳhs huā hai mirī bastī kā muhāfiz
jis shaḳhs kī taqdīr meñ sahrā bhī nahīñ hai
achchhā huā fankāroñ ne dūkān baḌhā dī
is shahr meñ ab dīda-e-bīnā bhī nahīñ hai
jaate haiñ kahāñ uTh ke zarā baiThiye sāhib
jī bhar ke abhī aap ko dekhā bhī nahīñ hai
har raah meñ raushan haiñ charāġhoñ kī qatāreñ
ye ġhaur-talab hai ki ujālā bhī nahīñ hai
ahbāb mire jis tarah pesh aa.e haiñ mujh se
dushman ke liye maiñ ne to sochā bhī nahīñ hai
ye hādse jā.eñge kahāñ chhoḌ ke mujh ko
in kā to koī aur Thikānā bhī nahīñ hai
KHat us ne zamana hua likkha bhi nahin hai
wo ruTh gaya mujh se ho aisa bhi nahin hai
kyon talKH bataya hai use hazrat-e-waiz
jis mai ko kabhi aap ne chakkha bhi nahin hai
wo shaKHs hua hai meri basti ka muhafiz
jis shaKHs ki taqdir mein sahra bhi nahin hai
achchha hua fankaron ne dukan baDha di
is shahr mein ab dida-e-bina bhi nahin hai
jate hain kahan uTh ke zara baiThiye sahib
ji bhar ke abhi aap ko dekha bhi nahin hai
har rah mein raushan hain charaghon ki qataren
ye ghaur-talab hai ki ujala bhi nahin hai
ahbab mere jis tarah pesh aae hain mujh se
dushman ke liye main ne to socha bhi nahin hai
ye hadse jaenge kahan chhoD ke mujh ko
in ka to koi aur Thikana bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.