KHata-e-ishq ye taslim hai ki humse hui
ḳhatā-e-ishq ye taslīm hai ki ham se huī
ye jur.at ham ko magar aap ke karam se huī
jahān-e-ishq meñ ahl-e-junūñ bhī kam to na the
huī shanāḳht is aqlīm kī to ham se huī
qatīl-e-ishq kiyā phir gale lagā.e rahā
ki ibtidā-e-mohabbat bhī ik sitam se huī
mujhe to jānñe vaale bhī kam hī jānte haiñ
mirī shanāḳht sar-e-mulk fan qalam se huī
jo bahr-e-ishq meñ ġharqāb ho ga.e un kī
ḳhabar huī hai to lahroñ ke zer-o-bam se huī
diloñ meñ ishq kī sham.oñ kī raushnī do-chand
agar huī hai ayaañ aap hī ke dam se huī
KHata-e-ishq ye taslim hai ki hum se hui
ye jurat hum ko magar aap ke karam se hui
jahan-e-ishq mein ahl-e-junun bhi kam to na the
hui shanaKHt is aqlim ki to hum se hui
qatil-e-ishq kiya phir gale lagae raha
ki ibtida-e-mohabbat bhi ek sitam se hui
mujhe to jaanne wale bhi kam hi jaante hain
meri shanaKHt sar-e-mulk fan qalam se hui
jo bahr-e-ishq mein gharqab ho gae un ki
KHabar hui hai to lahron ke zer-o-bam se hui
dilon mein ishq ki shamon ki raushni do-chand
agar hui hai ayan aap hi ke dam se hui
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 89)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.