KHata hai aankh ki hai be-KHata dil
ḳhatā hai aañkh kī hai be-ḳhatā dil
laḌī ye tum se mujrim ban gayā dil
ye koī baat hai ai hazrat-e-ishq
jise dekhā usī ko de diyā dil
khulegī lan-tarānī kī haqīqat
karegā tiir kā jab sāmnā dil
hasīnoñ se maiñ dhokā khā chukā huuñ
koī ab le to le mujh se mirā dil
burā thā yā bhalā thā kar diyā nazr
kahāñ se lā.ūñ ab maiñ dūsrā dil
mile mujh se to farmāne lage vo
kaho 'gustāḳh' achchhā to rahā dil
KHata hai aankh ki hai be-KHata dil
laDi ye tum se mujrim ban gaya dil
ye koi baat hai ai hazrat-e-ishq
jise dekha usi ko de diya dil
khulegi lan-tarani ki haqiqat
karega tir ka jab samna dil
hasinon se main dhoka kha chuka hun
koi ab le to le mujh se mera dil
bura tha ya bhala tha kar diya nazr
kahan se laun ab main dusra dil
mile mujh se to farmane lage wo
kaho 'gustaKH' achchha to raha dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.