KHatm aaKHir ye silsila na hua
ḳhatm āḳhir ye silsila na huā
pesh kab koī hādisa na huā
dekhnā rū-e-yār kī tasvīr
dil-e-sad-pāra aa.ina na huā
maut kyā hai hayāt kyā shai hai
aaj tak hal ye mas.ala na huā
asl aur naql meñ hai farq baḌā
kabhī koī sanam ḳhudā na huā
shart-e-ulfat barahna-pā.ī hai
paañv meñ kis ke aabla na huā
bahr-e-hastī meñ umr chand nafas
paanī meñ koī bulbula na huā
jā chukī thī nigāh manzil tak
haif tai vo bhī fāsla na huā
dost ho yā aziiz hī koī
na huā koī bhī mirā na huā
baḳhshisheñ us kī aam haiñ 'māhir'
ham the kamzor hausla na huā
KHatm aaKHir ye silsila na hua
pesh kab koi hadisa na hua
dekhna ru-e-yar ki taswir
dil-e-sad-para aaina na hua
maut kya hai hayat kya shai hai
aaj tak hal ye masala na hua
asl aur naql mein hai farq baDa
kabhi koi sanam KHuda na hua
shart-e-ulfat barahna-pai hai
panw mein kis ke aabla na hua
bahr-e-hasti mein umr chand nafas
pani mein koi bulbula na hua
ja chuki thi nigah manzil tak
haif tai wo bhi fasla na hua
dost ho ya aziz hi koi
na hua koi bhi mera na hua
baKHshishen us ki aam hain 'mahir'
hum the kamzor hausla na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.