KHatm apni gardish-e-ayyam kar ke aae hain
ḳhatm apnī gardish-e-ayyām kar ke aa.e haiñ
sub.h ke nikle hue jo shaam kar ke aa.e haiñ
husn ko rusvā-e-ḳhās-o-'ām kar ke aa.e haiñ
'āshiqī ke naam ko badnām kar ke aa.e haiñ
kyā kaheñ duniyā meñ kyā kyā kaam kar ke aa.e haiñ
zindagī ko mūrid-e-ilzām kar ke aa.e haiñ
buuñd bhar bhī ham ne shīshoñ meñ nahīñ chhoḌī sharāb
mahfil-e-sāqī meñ ḳhālī jaam kar ke aa.e haiñ
manzil-e-jānāñ se aa.e lauT kar jo nā-murād
dafn apnī hasrat-e-nākām kar ke aa.e haiñ
intizār-e-hashr meñ ghabrā.eñge kyā ahl-e-hashr
apnī apnī qabr meñ ārām kar ke aa.e haiñ
aap kā saanī nazar aatā nahīñ koī 'zabīh'
aap har bazm-e-suḳhan meñ naam kar ke aa.e haiñ
KHatm apni gardish-e-ayyam kar ke aae hain
subh ke nikle hue jo sham kar ke aae hain
husn ko ruswa-e-KHas-o-'am kar ke aae hain
'ashiqi ke nam ko badnam kar ke aae hain
kya kahen duniya mein kya kya kaam kar ke aae hain
zindagi ko murid-e-ilzam kar ke aae hain
bund bhar bhi hum ne shishon mein nahin chhoDi sharab
mahfil-e-saqi mein KHali jam kar ke aae hain
manzil-e-jaanan se aae lauT kar jo na-murad
dafn apni hasrat-e-nakaam kar ke aae hain
intizar-e-hashr mein ghabraenge kya ahl-e-hashr
apni apni qabr mein aaram kar ke aae hain
aap ka sani nazar aata nahin koi 'zabih'
aap har bazm-e-suKHan mein nam kar ke aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.