Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHatm hote nahin chahat ke shumare ab tak

Fay Seen Ejaz

KHatm hote nahin chahat ke shumare ab tak

Fay Seen Ejaz

MORE BYFay Seen Ejaz

    ḳhatm hote nahīñ chāhat ke shumāre ab tak

    tum ko puurā nahīñ paḌh paate tumhāre ab tak

    chāñd ko chhūte nahīñ haath hamāre ab tak

    apnī qismat meñ nahīñ apne sitāre ab tak

    qabr tak aane lage paañv hamāre lekin

    bojh duniyā ke nahīñ sar se utāre ab tak

    mutma.in aaj bhī haiñ dil hasīñ choToñ se

    achchhe lagte haiñ mohabbat ke ḳhasāre ab tak

    ab fazā meñ bhī dikhā.ī nahīñ dete ham ko

    DhūñDte rahte haiñ rangīn ġhubbāre ab tak

    yaad meñ roTiyāñ tum mere liye señktī ho

    aur chūlhe se lapakte haiñ sharāre ab tak

    duur pardes meñ baiThe haiñ magar āñkhoñ meñ

    jhilmilāte haiñ tirī maañg ke taare ab tak

    ne āñchal zarā bhī sahārā na diyā

    aañkh se phuuT bahe kitne favāre ab tak

    sāthiyo kashtī to mañjdhār talak aa pahuñchī

    aur sāhil se nahīñ koī ishāre ab tak

    aap ne sochā nahīñ aap hamāre ho jaa.eñ

    aur ham aap ke haiñ saare ke saare ab tak

    KHatm hote nahin chahat ke shumare ab tak

    tum ko pura nahin paDh pate tumhaare ab tak

    chand ko chhute nahin hath hamare ab tak

    apni qismat mein nahin apne sitare ab tak

    qabr tak aane lage panw hamare lekin

    bojh duniya ke nahin sar se utare ab tak

    mutmain aaj bhi hain dil ki hasin choTon se

    achchhe lagte hain mohabbat ke KHasare ab tak

    ab faza mein bhi dikhai nahin dete hum ko

    DhunDte rahte hain rangin ghubbare ab tak

    yaad mein roTiyan tum mere liye senkti ho

    aur chulhe se lapakte hain sharare ab tak

    dur pardes mein baiThe hain magar aankhon mein

    jhilmilate hain teri mang ke tare ab tak

    tu ne aanchal ka zara sa bhi sahaara na diya

    aankh se phuT bahe kitne faware ab tak

    sathiyo kashti to manjdhaar talak aa pahunchi

    aur sahil se nahin koi ishaare ab tak

    aap ne socha nahin aap hamare ho jaen

    aur hum aap ke hain sare ke sare ab tak

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now