KHatm hoti hai kahan gardish-e-ayyam abhi
ḳhatm hotī hai kahāñ gardish-e-ayyām abhī
zulm sahnā haiñ bahut se dil-e-nākām abhī
nā-mukammal hai mohabbat meñ har ik kaam abhī
DhūñDhtā hai dil-e-mahjūr tū anjām abhī
bul-havas ishq sarāsar hai tirā ḳhaam abhī
dil meñ baaqī hai tire ḳhvāhish-e-ārām abhī
ham-safīrān-e-chaman rahnā ḳhabar-dār zarā
aaya gulshan meñ hai sayyād liye daam abhī
khul ga.ī aañkh mirī ḳhvāb se kyā zulm huā
merī āġhosh meñ thā koī dil-ārām abhī
ek do jaam se serī nahīñ hotī saaqī
chāhte piinā haiñ jī-bhar ke mai-āshām abhī
ye sazā us kī hai bad-ḳhū se mohabbat kyoñ kī
jhiḌkiyāñ kaisī vo deñge mujhe dushnām abhī
mujh ko rahte hue ka.abe meñ zamāna guzrā
dil meñ baaqī hai mire ulfat-e-asnām abhī
dekhiye hotī hai tai ishq kī manzil kaise
saḳht dushvār hai is raah meñ har gaam abhī
jurm aisā hī kiyā hai ki mohabbat kī hai
dekhiye lagte haiñ kyā kyā na.e ilzām abhī
kaun sā zikr thā kyā baat thī maiñ bhī to sunūñ
kis ġharaz se liyā jaatā thā mirā naam abhī
de diyā dil unheñ ab aage jo taqdīr dikhā.e
kaun jhagḌe meñ paḌe soch ke anjām abhī
uTh paḌā raat se kambaḳht sitam Dhāne ko
ai mo.azzin hai azaañ kā kahāñ hangām abhī
ab to din ḳhatm huā hai dil-e-betāb sañbhal
vaqt aane kā hai ye kaun sar-e-shām abhī
itnī himmat to ho koī ho pilāne vaalā
vo balā-nosh huuñ pī jā.ūñ maiñ sau jaam abhī
vo bhī din duur nahīñ haiñ jo salāmat aġhyār
gāliyāñ deñge vo le le ke mirā naam abhī
chāhte vo haiñ ki iz.hār ta'alluq kā na ho
ḳhat bhī aaya hai kabhī un kā to gumnām abhī
der se piite haiñ aġhyār barābar saaqī
sāmne mere nahīñ aaya hai ik jaam abhī
ik nazar paḌte hī jaate rahe sab hosh-o-havās
jalva-afroz thā ye kaun lab-e-bām abhī
chain se but mujhe ka.abe meñ na rahne deñge
dair se roz chale aate haiñ paiġhām abhī
kārgar vasl kī tadbīr na hogī koī
phir bhī karnā hai mujhe koshish-e-nākām abhī
dekhiye jhuktā hai dil dair-o-haram meñ kis jā
hai mire pesh-e-nazar kufr abhī islām abhī
lā sake taab na the tuur pe jis kī muusā
jalva dekhā hai vahī maiñ ne lab-e-bām abhī
dil-e-gum-gashta kā kuchh zikr na karnā hamdam
hasratoñ meñ mirī paḌ jā.egā kohrām abhī
hashr ke shor se jī-bhar ke na sone paa.e
mil chalā thā hameñ turbat meñ kuchh ārām abhī
jald se jald ilāhī shab-e-va.ada aa.e
chāhtā dil hai ye din hī se ki ho shaam abhī
kuchh bhī 'ishrat' nahīñ anjām-e-mohabbat kī ḳhabar
kaTte haiñ āh-o-fuġhāñ meñ sahar-o-shām abhī
KHatm hoti hai kahan gardish-e-ayyam abhi
zulm sahna hain bahut se dil-e-nakaam abhi
na-mukammal hai mohabbat mein har ek kaam abhi
DhunDhta hai dil-e-mahjur tu anjam abhi
bul-hawas ishq sarasar hai tera KHam abhi
dil mein baqi hai tere KHwahish-e-aram abhi
ham-safiran-e-chaman rahna KHabar-dar zara
aaya gulshan mein hai sayyaad liye dam abhi
khul gai aankh meri KHwab se kya zulm hua
meri aaghosh mein tha koi dil-aram abhi
ek do jam se seri nahin hoti saqi
chahte pina hain ji-bhar ke mai-asham abhi
ye saza us ki hai bad-KHu se mohabbat kyon ki
jhiDkiyan kaisi wo denge mujhe dushnam abhi
mujh ko rahte hue kabe mein zamana guzra
dil mein baqi hai mere ulfat-e-asnam abhi
dekhiye hoti hai tai ishq ki manzil kaise
saKHt dushwar hai is rah mein har gam abhi
jurm aisa hi kiya hai ki mohabbat ki hai
dekhiye lagte hain kya kya nae ilzam abhi
kaun sa zikr tha kya baat thi main bhi to sunun
kis gharaz se liya jata tha mera nam abhi
de diya dil unhen ab aage jo taqdir dikhae
kaun jhagDe mein paDe soch ke anjam abhi
uTh paDa raat se kambaKHt sitam Dhane ko
ai moazzin hai azan ka kahan hangam abhi
ab to din KHatm hua hai dil-e-betab sanbhal
waqt aane ka hai ye kaun sar-e-sham abhi
itni himmat to ho koi ho pilane wala
wo bala-nosh hun pi jaun main sau jam abhi
wo bhi din dur nahin hain jo salamat aghyar
galiyan denge wo le le ke mera nam abhi
chahte wo hain ki izhaar ta'alluq ka na ho
KHat bhi aaya hai kabhi un ka to gumnam abhi
der se pite hain aghyar barabar saqi
samne mere nahin aaya hai ek jam abhi
ek nazar paDte hi jate rahe sab hosh-o-hawas
jalwa-afroz tha ye kaun lab-e-baam abhi
chain se but mujhe kabe mein na rahne denge
dair se roz chale aate hain paigham abhi
kargar wasl ki tadbir na hogi koi
phir bhi karna hai mujhe koshish-e-nakaam abhi
dekhiye jhukta hai dil dair-o-haram mein kis ja
hai mere pesh-e-nazar kufr abhi islam abhi
la sake tab na the tur pe jis ki musa
jalwa dekha hai wahi main ne lab-e-baam abhi
dil-e-gum-gashta ka kuchh zikr na karna hamdam
hasraton mein meri paD jaega kohram abhi
hashr ke shor se ji-bhar ke na sone pae
mil chala tha hamein turbat mein kuchh aaram abhi
jald se jald ilahi shab-e-wada aae
chahta dil hai ye din hi se ki ho sham abhi
kuchh bhi 'ishrat' nahin anjam-e-mohabbat ki KHabar
kaTte hain aah-o-fughan mein sahar-o-sham abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.