KHatm kal tak irtibaat-e-jism-o-jaan ho jaega
ḳhatm kal tak irtibāt-e-jism-o-jāñ ho jā.egā
har nafas afsāna-e-umr-e-ravāñ ho jā.egā
ai hujūm-e-dard ab ashkoñ kā thamnā hai muhāl
ab ye sotā ek hijr-e-be-karāñ ho jā.egā
yaad terī khīñch degī dil meñ tasvīreñ tirī
dard terā ek dard-e-jāvedāñ ho jā.egā
dasht-e-ġhurbat meñ mirī āñkhoñ se Tapkā hai jo aaj
kyā ye aañsū ek harf-e-rā.egāñ ho jā.egā
ishrateñ kam hote hote be-nishāñ ho jā.eñgī
ġham kā dariyā baḌhte baḌhte be-karāñ ho jā.egā
naala naala dil kī betābi karegā āshkār
ashk ashk andoh-e-dil kā tarjumāñ ho jā.egā
naza.a meñ 'fitrat' ye tum ne mehrbānī kī to hai
maut kā paiġhāmbar nā-mehrbāñ ho jā.egā
KHatm kal tak irtibaat-e-jism-o-jaan ho jaega
har nafas afsana-e-umr-e-rawan ho jaega
ai hujum-e-dard ab ashkon ka thamna hai muhaal
ab ye sota ek hijr-e-be-karan ho jaega
yaad teri khinch degi dil mein taswiren teri
dard tera ek dard-e-jawedan ho jaega
dasht-e-ghurbat mein meri aankhon se Tapka hai jo aaj
kya ye aansu ek harf-e-raegan ho jaega
ishraten kam hote hote be-nishan ho jaengi
gham ka dariya baDhte baDhte be-karan ho jaega
nala nala dil ki betabi karega aashkar
ashk ashk andoh-e-dil ka tarjuman ho jaega
naza mein 'fitrat' ye tum ne mehrbani ki to hai
maut ka paighambar na-mehrban ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.