KHatm rishte hue bacha kya hai
ḳhatm rishte hue bachā kyā hai
kaash ham jānte anā kyā hai
us kī marzī se chal rahī duniyā
ham se bigḌā hai kyā banā kyā hai
ḳhud ko dekhā hai terī āñkhoñ meñ
sāmne tere aa.ina kyā hai
kuchh to kahiye ki chhoḌ kar mujh ko
āḳhirash aap ko milā kyā hai
us kī āñkhoñ se pī ke dekh zarā
us ke aage koī nasha kyā hai
un ko har zulm par du'ā.eñ diiñ
sabr kī aur intihā kyā hai
KHatm rishte hue bacha kya hai
kash hum jaante ana kya hai
us ki marzi se chal rahi duniya
hum se bigDa hai kya bana kya hai
KHud ko dekha hai teri aankhon mein
samne tere aaina kya hai
kuchh to kahiye ki chhoD kar mujh ko
aaKHirash aap ko mila kya hai
us ki aankhon se pi ke dekh zara
us ke aage koi nasha kya hai
un ko har zulm par du'aen din
sabr ki aur intiha kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.