KHatm ye fitrat-e-adam nahin hone wali
ḳhatm ye fitrat-e-ādam nahīñ hone vaalī
'ishq kī bhuuk kabhī kam nahīñ hone vaalī
maiñ kisī aur ke sāñche meñ Dhalā jaatā huuñ
zindagī to mirī mahram nahīñ hone vaalī
laakh aaḌe bhī agar aa.eñ muḳhālif bādal
chāñd kī raushnī maddham nahīñ hone vaalī
jaan hāzir hai hama-vaqt tumhārī ḳhātir
pesh-e-ġhairullah jabīñ ḳham nahīñ hone vaalī
chārāgar tū bhī namak Daal mire zaḳhmoñ par
chārasāzī mirā marham nahīñ hone vaalī
us pe tum sūra-e-yūsuf ko agar dam kar do
phir zuleḳhā kabhī barham nahīñ hone vaalī
munsalik ho to gayā huuñ maiñ tirī chaukhaT se
naukrī saḳht hai paiham nahīñ hone vaalī
dil vo shīshe kī 'imārat hai mirī jaan agar
TuuT jaa.e to munazzam nahīñ hone vaalī
zindagī āḳhirī ayyām ko aa pahuñchī hai
ab shab-e-ġham bhī shab-e-ġham nahīñ hone vaalī
ek hī shai kā talabgār rahā huuñ mehvar
'umr-bhar vo bhī farāham nahīñ hone vaalī
KHatm ye fitrat-e-adam nahin hone wali
'ishq ki bhuk kabhi kam nahin hone wali
main kisi aur ke sanche mein Dhala jata hun
zindagi to meri mahram nahin hone wali
lakh aaDe bhi agar aaen muKHalif baadal
chand ki raushni maddham nahin hone wali
jaan hazir hai hama-waqt tumhaari KHatir
pesh-e-ghairullah jabin KHam nahin hone wali
chaaragar tu bhi namak Dal mere zaKHmon par
chaarasazi mera marham nahin hone wali
us pe tum sura-e-yusuf ko agar dam kar do
phir zuleKHa kabhi barham nahin hone wali
munsalik ho to gaya hun main teri chaukhaT se
naukri saKHt hai paiham nahin hone wali
dil wo shishe ki 'imarat hai meri jaan agar
TuT jae to munazzam nahin hone wali
zindagi aaKHiri ayyam ko aa pahunchi hai
ab shab-e-gham bhi shab-e-gham nahin hone wali
ek hi shai ka talabgar raha hun mehwar
'umr-bhar wo bhi faraham nahin hone wali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.