KHauf-e-ruswai gham-e-furqat ka daftar le gaya
ḳhauf-e-rusvā.ī ġham-e-furqat kā daftar le gayā
'ishq kī pastī se vo bhī shor-e-mahshar le gayā
dāman-e-paikar meñ hairat-nāk manzar le gayā
pattharoñ kī būñdiyoñ meñ sar bachā kar le gayā
dard de kar ḳhuun kā anmol gauhar le gayā
kis maqām-e-auj par 'betāb' sāġhar le gayā
bujh nahīñ saktī kabhī hirs-o-havas kī tishnagī
qatra qatra karte karte vo samundar le gayā
qasd-e-manzil ke liye to hausla darkār hai
ai parindo kyā huā sayyād jo par le gayā
pattharoñ ko bhī harārat baḳhshne vaale the vo
intishār-e-fikr jin ko aaj dar-dar le gayā
kyā kahūñ āsūdgī kī kuchh ramaq miltī nahīñ
zar-parastoñ ke nagar meñ bhī vo ghar-ghar le gayā
ho gayā 'betāb' hairāñ us kā chehra dekh kar
ā.ina-ḳhāne meñ jab us ko muqaddar le gayā
KHauf-e-ruswai gham-e-furqat ka daftar le gaya
'ishq ki pasti se wo bhi shor-e-mahshar le gaya
daman-e-paikar mein hairat-nak manzar le gaya
pattharon ki bundiyon mein sar bacha kar le gaya
dard de kar KHun ka anmol gauhar le gaya
kis maqam-e-auj par 'betab' saghar le gaya
bujh nahin sakti kabhi hirs-o-hawas ki tishnagi
qatra qatra karte karte wo samundar le gaya
qasd-e-manzil ke liye to hausla darkar hai
ai parindo kya hua sayyaad jo par le gaya
pattharon ko bhi hararat baKHshne wale the wo
intishaar-e-fikr jin ko aaj dar-dar le gaya
kya kahun aasudgi ki kuchh ramaq milti nahin
zar-paraston ke nagar mein bhi wo ghar-ghar le gaya
ho gaya 'betab' hairan us ka chehra dekh kar
aaina-KHane mein jab us ko muqaddar le gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.